Muddat Ke bad Laut Ke
مدت کے بعد لوٹ کے آیا ہوں گاوں میں
ماضی سمٹ کے آ گیا برگد کی چھاوں میں
Muddat Ke bad loot ke aaya hon gaon mein
maazi simat ke aa gaya bargad ki chaun mein
انسانیت کا سانس بھی لینا محال ہے
یہ کس نے زہر گھول دیا ہے ہواوں میں
insaniat ka saans bhi lena mahaal hai
yeh kis ne zihar diya hai hawaon mein
ہم لوگ نسل آدم وحواہیں اس لیے
آتا ہے لطف آج بھی ہم کو خطاوں میں
Hum log nasal Adam hawan es liya
Aata hai lutaf Aj bhi hum ko khataoun mein
شاید کسی نے یاد کیا ہے ابھی مجھے
پھیلی ہوئی ہے عشق کی خوشبو فضاوں میں
shayad kaisi ne yaad kiya hai abhi mujha
phaili hoi hai ishq ki khushbu fizaon mein
برسات ہو رہی ہے مگر تو نہیں ملا
تصویر تری ڈھونڈ رہا ہوں گھٹاوں میں
Barsaat ho rahi hai magar tu nahi mila
tasveer tar dhond raha ho ghataon mein
دنیا کی مشکلات کا کیو فکر ہے حسن
ہم نے سکوں پایا ہے ماں کی دعاوں میں
Dunya ki mushikilat ki kuyn fikar hai hasan
hum ne sakoon paya hai maan ki duaan mein
0 Comments