Fsee

Idhar Mera Khuda Hai or Mein Hoon Lyrics - Hafeez Jalandhari Poetry

Idhar Mera Khuda Hai or Mein Hon Lyrics- Hafeez Jalandhari Poetry

دل بے مدعا ہے اور میں ہوں
مگر لب پر دعا ہے اور میں ہوں

dil-e-be-muddaa hai aur main hun
magar lab par dua hai aur main hun
 
نہ ساقی ہے نہ اب وہ شے ہے باقی
مرا دور آ گیا ہے اور میں ہوں

na saqi hai na ab wo shai hai baqi
mera daur aa gaya hai aur main hun
 
ادھر دنیا ہے اور دنیا کے بندے
ادھر میرا خدا ہے اور میں ہوں

udhar duniya hai aur duniya ke bande
idhar mera KHuda hai aur main hun
 
کوئی پرساں نہیں پیر مغاں کا
فقط میری وفا ہے اور میں ہوں

koi pursan nahin pir-e-mughan ka
faqat meri wafa hai aur main hun
 
ابھی میعاد باقی ہے ستم کی
محبت کی سزا ہے اور میں ہوں

abhi miad baqi hai sitam ki
mohabbat ki saza hai aur main hun
 
نہ پوچھو حال میرا کچھ نہ پوچھو
کہ تسلیم و رضا ہے اور میں ہوں

na puchho haal mera kuchh na puchho
ki taslim o raza hai aur main hun
 
یہ طول عمر نامعقول و بے کیف
بزرگوں کی دعا ہے اور میں ہوں

ye tul-e-umr na-maqul o be-kaif
buzurgon ki dua hai aur main hun

لہو کے گھونٹ پینا اور جینا
مسلسل اک مزا ہے اور میں ہوں

lahu ke ghunT pina aur jina
musalsal ek maza hai aur main hun

حفیظؔ ایسی فلاکت کے دنوں میں
فقط شکر خدا ہے اور میں ہوں

'hafiz' aisi falakat ke dinon mein
faqat shukr-e-KHuda hai aur main hun  


Post a Comment

0 Comments