Fsee

Sochta hoon ke woh kitne masoom thay Lyrics Nusrat Fateh Ali Khan

Sochta hoon ke woh kitne masoom thay | Dekhte Dekhte


A TRIBUTE TO LEGEND  NUSRAT FATEH ALI KHAN SAHAB

Read online the great collection of sochta hoon ke woh kitne masoom thay lyrics on this site. also sing by atif aslam dekhte dekhte. tujhe sochta hoon lyrics provide you the latest and most popular dekhte dekhte lyrics.
______________________________________________

TITLE - Sochta hoon ke woh kitne masoom thay
ARTIST - Sami kanwal
LYRICS : Nusrat Fateh Ali Khan
LABEL - Fsee Production

---------------------------------------------------

The Lyrics of Sochta Hoon Keh Woh Kitne Masoom Thay

Jane wale humari mehfil say
Chaand taaro ko sath leta ja
Hum khizaan se nibah ker len ga
Tu baharo ko sath leta ja
Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai Saadgi main bhi
qayamat ki ada hoti hai
Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage
Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage
Tu roz roya kre outh k chaand raato main Khuda kare tera
merey begar ji na lage
Tanhai me faryaad tu ker sakta ho
Virane ko abad tu ker sakta ho
Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin
Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho
Koi bhi waqt ho hans ker guzar leta ho
Khizaan ka dor me ehad-e-bahar leta ho
Gul o se rang sitaroon se roshni le ker
Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho
Us ke nazdeek ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi Ab tu hathon
se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi
"Sochta hoon ke woh kitne masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte"
 Maine patthar se jinko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte
 Hashar hai wahshat e dil ki aawargi
Humse poocho mohabbat ki deewangi
Jo pata poochte the kisi ka kabhi
La pata ho gaye dekhte dekhte
 Humse ye Soch kar koi wada karo
Ek wade pe umarein guzar jayengi
Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat 'Tasleem' kya kijie
Ab to Khud par bhi humko bharosa nahin
Apna saya samajhte the jinko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte
------------Poetry---------------
Kubhi Safar Tou Kubhi
Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam
Le Gaya Mujh Se
Mujhe Khabar Na Howi Aur
Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera
Naam Le Gaya Mujh Se
Ose Ziaada Zaroorat Thi
Ghar Basaanay Ki
Wo Aake Mere Dar-o-
Baam Le Gaya Mujh Se
Bhalaa Kahan Koi Juz Oske
Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam
Le Gaya Mujh Se
Bas Ik Lamhay Ke Sach
Jhoot Ke Awiz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le
Gaya Mujh Se





Post a Comment

0 Comments